Hamal ko rokne ka tarika for boys and girls
Hamal ko roknay ke tareekay - avoid pregnancy naturally
- makhsoos ayyaam (menses) ke baad 10 say 12 din tak aur 3 din say pehlay ham-bistari (sexual intercourse) NA karain. agar in dino ka sahi tara pata na chalay to chand alalaat ka mushahida karain, jo apko period ka pata deti hain. maslan Mucus ka ikhraaj NA hona, andam nihani (Cervical) ka temperature ziada hona.
- agar orat apnay bachay ko dudh pilati rahay to is doraan phisiologic effect ki waja say bacha dani mai anda nahi banta kyunke Lactogenic harmone, projestrone ko mutasir karta hai aur khud active ho jata hai. Is tara Feeding ke zariye bi hamal ke chances bohat kam ho jatay hain.
- Condom ka istamal bi hamal say bachata hai. kyunke condom say sperm , ovari mai dakhil nahi ho saktay aur mian bv apni jinsi khuahish (sexual desire) puri kar laitay hain. lekin condom acha use karain kyunke baz okaat condom phhat (leak) bi sakta hai aur jiskay nateejay mai pregnancy ho sakti hai.
- Birth control pills say bi hamal ko roka ja sakta hai lekin is mai ehtiat say kaam lain kyunke in adviyaat ke istamal say aurat ki sehat par bohat buray asraat murattab hotay hain. is liye behtar hai ke milaap ke wakt hi aisi medicine use ki jaey jin mai contraceptive Cream or lotion shamil hain.
- Spermicides istamal karain, iskay ilava vaginal tablets waghaira vagina mai rakh di jati hain jis say male sperms mar jatay hain ya useless ho jatay hain.
- jaisay mard ke liye condom hain usi tara orat bi venyl ya rubber ki bani sheet istamal kar sakti hai jo sperm ke dakhlay ko rok deti hai.
- baz hazraat apni marzi say nas bandi (Vesectomy) kara laitay hain, aisa tab kia jata hai jab mustakil tor par olaad ki khuahish ya zaroorat na ho, is ky liye aik chhota sa operation kia jata hai, jis mai mard ki Ejaculatory Duct block kar di jati hai aur sperms bahir kharij nahi hotay.
- aurto mai ye tareeka Tubal Occlusion ya surgery kehlata hai jis mai aurton ki fallopian tubes block kar di jati hain aur wo mustakil tor par sperm ko hasil nai kar paati. is tara hamal honay ka chance bilkul khatam ho jatay hain.
- agar menses start honay say 3 din pehlay, homeopathy medicine Pulsatilla 200 ke 5 drops ki ek khuraak, musalsal 3 din istamal kar li jaey to 1 mahinay tak pregnancy nai hoti...