ads google

Wednesday 2 July 2014

Mota Hone Ka tareka In Urdu



roz 1 egg subha kay time. or 1 cup malik daily lenay say ap ki sath a6i ho sakte hai. eat Any Meal After 3 hour.


Jis tarah kuch log apna wazan kam karna chahte hain isi tarah baaz log mota hone ki bhi khuwahish karte hain.
Jo log mota hone ki khuwahish rakhte hain un k liye chand nuskhay darj zail hain.
1. Naariyal khane se jism mota ho jata hai.
2. Gajar khane aur ka us ka juice istemal karne se jism mota hota hai.
3. Kaila khane se bhi motapa jald ajata hai.
4. Chilghozay ka kasrat se istemal bhi jism ko farbi bana deta hai.
5. Nehar moo khajoor kha kar doodh peene se jism mota hota hai.







wazan barhanay ke liye - weight gain tips

How to improve weight by using a proper food diet?

Just act upon these advises, develop a wonderful personality, and enjoy a good life.
  1. Sleep atleast 8 hours in every 24 hours.
  2. jo ghiza (food) ham istamal kartay hain is say hamai calories milti hain, agar ham ziada khuraak khaengay to ziada calories milengi jo ke jismaani zaroorat say ziada hongi to in calories ko jisam charbi mai tabdeel kar ke jisam mai mehfooz (store) kar laita hai aur in cheezo ke mustakil istamal say wazan barhta hai.
  3. ap aik din mai motay aur sehat mand nahi ho saktay, iskay liye exercise aur aik achay diet plan ki zaroorat hai, aur is mai kafi time lagta hai. iskay liye ap ziada chiknaee wali ghiza khaen aur apni khuraak mai aisi ghizaon ka istamal karain jodudh (milk), makhan (butter), paneer (cheese), balaee wala dudh (full cream milk), anday (eggs), sabziyan (vegetable), phhal (fruits), machhli (fish) aur murghi (chicken) par mushtamil hon.
  4. Wazan barhanay ke liye, chicken, meat, eggs, cheese, peanut butter, almond butter, olive oil, almonds, all type of fish, fruits and pizza behtareen hain, kuchh mazeed ghizaen maslan potato, rice, wheat, pasta, bread, phhalian aur fruits bi weight gain k liye behtar hain. ziada mikdar mai istamal karain.
  5. Nashta (BreakFast)
    nashtay say pehlay fruit juice pi lain aur nashtay mai makhan, anda, gosht, sabziyan, machhli, murghi aur carbohydrates wali ghiza ka istamal karain, ziada tali hui (fried) cheezon say parhaiz karain kyunke cholestrol ki ziadti ki waja say harmones ka nizaam ghair matwaazan (imbalance) ho jata hai aur iski waja say High BP, dil aurr jigar ke amraaz paida hojatay hain.
  6. Dopahar (lunch)fresh fruits, chicken ka istamal ziada behtar hai. Vegetable aur fruit salad bi istamal karain, Cheese sandwich ka istamal karain ye apko sehat mand bananay mai bohat behtar hai.
  7. Shaam ki Chaey (Evening Tea Time)
    chaey k sath sandwich biscuit cake slice ka istamal bohat behtar hai. magar sugar ke mareez cholestrol wali cheezain na khaen.
    shaam ki chaey ke sath khanay ki zaroorat
    1- 3 ando ka omlete = 210 calories
    2- makhan (butter) = 100 calories
    3- adha cup cheese low fat = 100 calories
    4- adha cup badaam roaste kiye huey (roasted almonds) = 85 calories
    5- 1 kaila (banana) = 121 calorie
    6- 1 cup dahi (yogurt) = 208 calories
    7- Cheese sandwich = 380 calories
  8. Raat ka khana (dinner)dinner mai fruit juice aur vegetable, chicken, fish ka istamal behtar hai.
  9. Exercise:
    warzish (exercise) sehat ke liye boaht zaroori hai.
    khanay ke foran baad sona nahi chahiye, thori chehal kadmi karain.
    muscels ki exercise karain.
    1 hour Morning walk karain. sugar aur High BP k mareez 30 minutes tak walk karain.
  10. Weight Gain Milk Shake Recipe: milk 1 glass, apple 1, coconut powder 1 spoon, khajoor (date) 1, banana 1, anar ke fresh daanay 10 - sab ko blender mai dal kar shake kar lain aur rozana subah khali pait pee lia karain, kuch e dino mai wazan barh jaeyga in-sha-Allah.
wazan barhanay ke liye Warzish bohat zaroori hai kyunkay khuraak juz-e-badan ho kar tavanaee faraham karti hai aur paseena anay ki waja say khoon mai gardish paida hoti hai aur jisam say fasid maaday paseenay ke zariye kharij honay lagtay hain.

ggg

ggg